Ranj | A Still Frame AV

Ranj: A Still Shot AV

Ranj is a short film with its theme being an adaptation from the famous quote from Mahabharata

"Whenever righteousness decimates and evils get prominence then I manifest and take physical form to destroy evils and help the good ones to establish the righteousness."

The assignment was to depict the story through still frames supported by a narration to enhance the beauty of the story.

Narration

Main samay hoon , 
Sabhyata dar sabhyata badalti gayi lekin
Manushya ne phir wahi itihaas dohraya 
Ek ore Krishna dusri ore uski maaya…

Is yug ne kuch aisa sikka paltaya
Ahankar ki wo ek boond 
Jisne tujhe burai me aisa tabdeel karaya
Ki ab tu paap karne se bhi na ghabraya

Taash ke patte aur zindagi ka khel 
Kehte hain dono ek hi hain
Dekhte hain aaj
taqdeer ne kise jitaaya

Jab aadmi ne apna ghamand itna badhaya
Tab koi to hai jisne use yaad dilaya
Tera ghamand tera guroor hi to hai
Jo tujhe yahan tak kheech laya

Khel to wo bhi tha khel aaj ye bhi hai
Par khel ko khel aakhir kaun samajh paya
Jis Mahabharata ne itihaas me naam rachaya
Aaj kurukshetra ki bhoomi to nahi
wahi dwandva tujhme aur sabme samaya

phir
Paapi ne dekhi cheez kuch aisi
ke asli sach use ab samajh aaya
Burai pe acchai ki jeet to hamesha se thi
Ye satya samay ne phir dohraya



Ranj | A Still Frame AV
Published: